Ek andhi mohbbat ki kahani suno kalam ki jabani

aao sunau tum sab mai ek kissa pyaar ka...
kaise badl gya daulat ko dekh dil yaar ka...
ek baar ek ladki aur ladka themile...
chalne lage unke pyar ke silsile...
ladka jaan se jyada ladki ko mohabbat karne
tha laga...
uski chhoti chhoti baato pe marne tha laga...
ladki bhi dikhati thi ke wo usi se pyaar karti
hai...
ladke ko nahi tha patta ke wo bas daulat pe
marti hai...
ladka bhi ghar se kafi paise churane laga...
ladki ko ghumane firane laga...
aise hi bitate bitate kai saal guzar gaye...
ladke ke ghar ke halat kuchh is tarah bigad
gye...

Also read>ye bhi padhe
ek sipahi ki mohbbat

maa uski ko hogyi bimari kuchh badi...
baap uske ke vyapar me musibat thi aa
padi...
ghar me sab log paise paise ko mohtaz the...
magar baap ne bete se rakhe halat raaz
the...
ladki ne ek din mahnge tohfe ki farmayish
ki...
ladke ne bhi taish me aakar ha thi kar di...
aakar wo ghar baap se paise ki fariyaad ki...
baap halat ka hawala de use naa thi kardi...
magar beta smjha ke baap kai jhoth bol
raha...
uske dil me chori karne ka tha khyal pal
raha...
baap ne kuchh daulat maangi thi logo se uski
maa ke ilaj ke liye...
bete ne sari daulat udali aish karne ke liye...
kharida usne mahnga sa tohfa apni jaan ke
waste...
magar badkismati se gum gya wo uss se
bich raste...
idar maa ki halat bigadne lagi...
baap ko bhi chinta thi jakadne lagi...
udhar jab ladki ne ladke ko dekha muh ko
latkaye huye...
wo smjh gye ke aaya hoga ye bina tohfa laye
huye...
ladki ne uski baat ko bahana bta diya...
itna kah kar ladke se haath tha chhuda liya...
uske samne hi wo chli gyi kisi aur ke sath...
ladka waha baitha rha malta hua hath...
thak haar jab der raat ghar wo lauta aaya
tha...

Also read.ye bhi padhe
khoon se likha love later

ghar me logo ki bhid dekh ghabraya tha...
dekh baap ek tarf baitha tha aankh uski lag
rahi thi royi huyi...
idhar dekha to maa padi thi arthi pe soyi
huyi...
ladka paglo ki tarah chhilane laga...
kah raha tha "koi to btao meri maa ki mout
ki wajah"...
itne me uske dosto ne use tham liya tha...
kaise mari uski maa is baat ko byan kiya
tha...
kuchh paise tere baap ne bchaye huye the...
un paiso ko ghar me aakar kuchh chor le
gye...
un paiso ki wajah se maa ka ilaj na hua...
isi liye humne teri maa ko kho diya...
itna sun kar tha ladka pagal sa hogya...
kamre me ja kar jahar kha kar wo bhi tha
apni maa ki tarah hamesha ke liye sogya...
suno mere dosto ye kahani kya batlati hai...
mohabbat hai kitni andhi ye sikhlati hai...
karo mohabbat usi se jo tumhare halat ko
smjhe...
maa baap ko chhod mohabbat me na bano
andhe....

yoindia.

Aap niche comment me apni baar kahe sakte hai

Share this

Related Posts

Previous
Next Post »