Vo payar to karti thi par.

friends, mera nam Sumit hai. Aaj main
aapko apni ek sad Love Story in Hindi
sunata hun. padhke mujhe batana ki
maine kuchh galat kiya kya?
main 12th mein padhta hun. kuch hi dino
pahle ki bat hai main ghar ka kuchh
saman lane bazar gaya tha. vahan main
jis dukan se kuchh books khareed raha
tha vahin pe ek ladki khadi thi. usne bhi
ek-do magzines khareedi aur jane lagi
tabhi maine dekha ki uska mobile phone
counter pe rah gaya. uska mobile phone
abhi abhi launch hua Micromax canvas
4tha. maine jaldi se use aawaaj di aur
use bataya ki uska Micromax phone rah
gaya hai. usne mujhe ek sweet si smile di
aur thanks kah ke chali gai.
ek do din to mujhe uski meethi si awaaj
sunai di kanon mein fir jaisa hota hai
main bhul gaya.
ek achanak main jab facebook pe baitha
tha to mujhe ek friend ke friend list mein
usi ladki ki pic dikhi. aaj maine use
dhyaan se dekha to dekhta hi rah gaya.
aisa nahi ki vo koi film actress jaisi
sundar thi par sundar bahut thi. aur fir
uski sweet si aawaaj mere kan mein aai –
Thanks ! bas fir to jaise dimag mein
ghantiyan bajne lagi – Thanks, thanks
Thanks……….. Thanks !!
maine bina kuchh soche samjhe friend
rqst bhej di. aur message bhi kar diya –
aapki awaaj bahut sweet hai.
fir maine socha kahin mujhe flirt na
samjhe kyunki main vaise ladkiyon ke
mamle mein kafi had tak seedha sada
huin. kabhi kisi girl ko tang nahi kiya. fir
maine socha kuchh galat bola nahi hai.
agar friend request accept nahi karegi to
koi bat nahi,.
2 din tak kuchh nahi hua. fir achanak
uska reply aaya – to tum mere peeche
lage ho? ek mobile de diya vapas to kya
rishta hi jod loge.? aur tumne mujhe
dhundha kaise? kya mere pichhe lage ho.
dubara message bheja to complain kar
dungi.
meri to jaise watt lag gai. fir bhi maine
use kaha ki sorry agar bura laga to lekin
maine tumhara pichha nahi kiya.
tumhein apni dost (Seema) ke profile
mein frnd list mein dekha to tumhari
sweet si aawaaj yad aa gai. man na ho to
mat accept karo, lekin kisi se bhi puchh
lo tumhari aawaaj hai bahut sweet !
fir thodi der mein uski ek smily aai –
mere man mein to jaise laddu foot gaye
ho, main khush ho gaya. tabhi usne meri
friend request bhi accept kar li.
hamari kuchh din tak to aise hi casual
chat hoti rahi. jyada bat nahi hui. par
aisa laga jaise use mere sath bat karna
achcha lagta hai.
fir ek din ham fir se bazar mein mil gaye.
vahin ham ne fir kuchh der bat kari. fir
usne mere insist karne pe mere sath
icecream bhi khai.
us din ke bad hamari batein bahut jyada
hone lagi. mere sir pe tio uska
deewanapan sawaar ho gaya tha jaise.
maine ek din use propose kar diya to
usne kaha Sumit, itni jaldi aise aage mat
badho. ham dost hi theek hain. abhi aap
padhai karo, main bhi padhai kar rahi
hun. abhi ye sab batein theek nahin hain.
lekin mere bas mein khud ko rokna nahi
tha. maine fir use kaha ki I love you.
main tumhare bina ek pal bhi nahi rah
sakta . tum mujhe kal ek bar milo to sahi
bazar mein. usne mana kar diya. par agle
din vo mujhse mili bazar mein. vo ek
saheli ke sath aai thi. uski saheli ne mere
pas aake kaha ki abhi tak to vo tumhe ek
dost ki tarah pasand karti hai. agar um
apni dosti ko bachana chahte ho to ye
harkatein band kar do varna usene kaha
hai ki vo apne parents ko bol degi.
main uski dost ko kahta rah gaya ki ek
bar meri usse bat karwa do par vo apni
saheli ke sath vapas chali gai.
bad min maine dekha ki usne mujeh
friend list se hata diya hai.
mujhe abhi aisa lagta hai ki vo mujhse
pyaar to akrti thi par apne parents ke dar
se kah nahi paai.
main ab roz bazar mein ghumta rahta
hun ki kahin vo dikh jaye. kya karun?

lovestorypaper.

Share this

Related Posts

Previous
Next Post »